zard mausam meñ bhī ik shāḳh harī rahtī hai
dil ke gulshan meñ koī sabz parī rahtī hai
tishna-lab kaun hai vo jis ke liye nahr-e-furāt
merī palkoñ kī muñDeroñ pe dharī rahtī hai
mustaqil ḳhāna-badoshī kā koī ajr nahīñ
paañv se lipTī mire dar-ba-darī rahtī hai
ai mire dil ke makīñ kuchh nahīñ tabdīl huā
tum jahāñ rahte the shorīda-sarī rahtī hai
jism ke bhed to khul jaate haiñ dhīre dhīre
ruuh se ruuh kī to parda-darī rahtī hai
dost ho jaatā mirā saarā zamāna 'hāshim'
mere hoñToñ pe magar baat kharī rahtī hai