Hashim Raza Jalalpuri

wo sab mein hum ko bar-e-digar dekhte rahe

Hashim Raza Jalalpuri

Jalalpur, Uttar pradesh, India

1987
vo sab meñ ham ko bār-e-digar dekhte rahe
ham un kā intiḳhāb-e-nazar dekhte rahe
dāman bachā ke ashkoñ se vo to nikal ga.e
ham der tak zamīñ par guhar dekhte rahe
ham be-niyāz baiThe hue un kī bazm meñ
auroñ kī bandagī kā asar dekhte rahe
aa.ī sahar to aur baḌhā bijliyoñ kā zor
shab bhar ham intizār-e-sahar dekhte rahe
sho.aloñ kī zad meñ the sabhī kis ko pukārte
har samt ḳhirmanoñ meñ sharar dekhte rahe
kyūñ-kar sambhālte hameñ vo nāḳhudā jo ḳhud
sāhil kī āfiyat se bhañvar dekhte rahe
manzil kī dhun meñ ābla-pā chal khaḌe hue
aur shahsavār gard-e-safar dekhte rahe
Top Urdushayar.com