tire ḳhayāl tirī aarzū se duur rahe
navāb ho ke bhī ham lucknow se duur rahe
badan ke zaḳhm to chāragaroñ ne sī Daale
magar ye ruuh ke chhāle rafū se duur rahe
zamīñ pe Tapkā to ye inqalāb lā.egā
use batā do, vo mere lahū se duur rahe
kiyā hai ham ne tayammum bhī ḳhāk-e-maqtal par
namāz-e-ishq paḌhī aur vuzū se duur rahe
mirī zabān kā charchā thā āsmānoñ par
zamīn vaale mirī guftugū se duur rahe