Hashim Raza Jalalpuri

ye uski marzi ki main us ka intiKHab na tha

Hashim Raza Jalalpuri

Jalalpur, Uttar pradesh, India

1987
ye us kī marzī ki maiñ us kā intiḳhāb na thā
vagarna mere muqaddar meñ kyā janāb na thā
kuchh is liye tire gulshan se maiñ palaT aayā
tamām phuul vahāñ the magar gulāb na thā
bichhaḌte vaqt hamāre laboñ meñ chubhne lage
savāl aise ki jin kā koī javāb na thā
jise bhī chāhā use be-hisāb chāhā ki
hamāre dil meñ miyāñ sho.aba-e-hisāb na thā
gulū-e-ḳhushk se tīr-e-sitam ko toḌ diyā
ye bachpane kā thā aalam abhī shabāb na thā
maiñ ik zamāne meñ 'hāshim-razā' payambar thā
mohabbatoñ kā magar sāhib-e-kitāb na thā
Top Urdushayar.com