manzar-e-vaqt kī yaksānī meñ baiThā huā huuñ
raat din ek sī vīrānī meñ baiThā huā huuñ
koī sāmān-e-safar hai na masāfat dar-pesh
mutma.in be-sar-o-sāmānī meñ baiThā huā huuñ
kabhī nāyāft kā hai to kabhī kam-yāft kā ġham
vaj.h-be-vaj.h pareshānī meñ baiThā huā huuñ
kār-e-dushvār hai āġhāz se munkir jab tak
kār-e-be-kār kī āsānī meñ baiThā huā huuñ
kal kahīñ rafta meñ thā haal kī hairat kā asiir
ab kisī fardā kī hairānī meñ baiThā huā huuñ
ḳhair ham-zād mirā duur tamāshā.ī hai
shar huuñ aur fitrat-e-insānī meñ baiThā huā huuñ
jism huuñ aur nafas Thahrā hai zāmin merā
sā.at-e-umr kī nigrānī meñ baiThā huā huuñ
ek bāzār-e-tilismāt hai jis ke andar
jeb-e-ḳhālī tirī arzānī meñ baiThā huā huuñ
reg-tā-reg huuñ phailā huā sahrā kī tarah
aur sarāboñ kī farāvānī meñ baiThā huā huuñ
aisā sannāTā hai āvāz se haul aatā hai
ik bayābāñ sā bayābānī meñ baiThā huā huuñ
na maiñ bilqīs ki ho shahr-e-sabā kī ḳhvāhish
na ġham-e-taḳht-e-sulaimānī meñ baiThā huā huuñ