Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

gham ba-har-taur numayan ho zaruri to nahin

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
ġham ba-har-taur numāyāñ ho zarūrī to nahīñ
aadmī chāk-garebāñ ho zarūrī to nahīñ
dard sharminda-e-darmāñ ho zarūrī to nahīñ
muft meñ aap kā ehsāñ ho zarūrī to nahīñ
amal-o-qaul se hotā hai numāyāñ kirdār
aadmī jo bhī ho insāñ ho zarūrī to nahīñ
husn agar zūd-pashemāñ hai to hogā lekin
ishq bhī zūd-pashemāñ ho zarūrī to nahīñ
merī taqdīr sañvarnī hai sañvar jā.egī
aap kī zulf pareshāñ ho zarūrī to nahīñ
husn hotā hai faqat husn-e-nazar se paidā
har kalī jān-e-gulistāñ ho zarūrī to nahīñ
ġhair kī lāf-zanī par bhī rahe pās-e-adab
koī añgusht-ba-dandāñ ho zarūrī to nahīñ
ruḳh-e-zebā ko zarūrat nahīñ zevar kī 'sahar'
ham tarannum meñ ġhazal-ḳhvāñ hoñ zarūrī to nahīñ
Top Urdushayar.com