duā kisī kī kare yā na mustajāb kare
magar tū chāhe to zarre ko āftāb kare
gunāh bhī jo kare rashk-e-sad-savāb kare
jo nāravā ho use bhī ravā shabāb kare
mirī nazar ki jise chāhe be-naqāb kare
ḳhudā vo din to dikhā.e jo tū hijāb kare
mirā ye kaam ki merī talab musalsal sidq
tirā ye kaam ki jab chāhe kāmyāb kare
na ḳhauf-e-pursish-e-mahshar na fikr-e-roz-e-hisāb
bashar gunāh par aa.e to be-hisāb kare
ḳhirad se ban na paḌī kuchh to kah diyā dil se
ḳhudā tujhe tire maqsad meñ kāmyāb kare
'sahar' ko tauba se inkār to nahīñ lekin
nigāh-e-mast agar mā.il-e-sharāb kare