aks ubhrā na thā ā.īna-e-dil-dārī kā
hijr ne khīñch diyā dā.era zañgārī kā
naaz kartā thā tavālat pe ki vaqt-e-ruḳhsat
bhed saa.e pe khulā shaam kī ayyārī kā
jis qadar ḳharch kiye saañs huī arzānī
nirḳh girtā gayā rasm-o-rah-e-bāzārī kā
raat ne ḳhvāb se vābasta rifāqat ke evaz
rāsta band rakhā din kī numūdārī kā
aisā vīrān huā hai ki ḳhizāñ rotī hai
kal bahut shor thā jis baaġh meñ gul-kārī kā
be-sabab jama.a to kartā nahīñ tiir o tarkash
kuchh hadaf hogā zamāne kī sitamgārī kā
pā-ba-zanjīr kiyā thā mujhe āsānī ne
marhala ho na sakā tai kabhī dushvārī kā
mutma.in dil hai ajab bhiiḌ se ġham-ḳhvāroñ kī
silsila tuul pakaḌ le na ye bīmārī kā