mohabbat kā hogā asar rafta rafta
nazar se milegī nazar rafta rafta
shab-e-ġham kī tūlāniyoñ se na ghabrā
ki is kī bhī hogī sahar rafta rafta
nazar un kī aise milī hai ki jaise
milā.eñge dil bhī magar rafta rafta
qafas se rihā.ī to mil jaa.e pahle
nikal ā.eñge bāl-o-par rafta rafta
mirī bandagī kā karishma to dekho
jabīñ ban ga.ī sañg-e-dar rafta rafta
jahāñ ham kahīñ naqsh-e-pā chhoḌ aa.e
vahīñ ban ga.ī rahguzar rafta rafta
mire saath jo do qadam bhī chalā hai
vahī ban gayā ham-safar rafta rafta
ḳhudā jaane kyuuñ sar jhukāne lage haiñ
mujhe dekh kar chāragar rafta rafta
abhī us ne aane kā va.ada kiyā hai
chamakne lage bām-o-dar rafta rafta
shab-e-ġham kī rūdād kyā pūchhte ho
'sahar' ko milī hai sahar rafta rafta