unheñ kyā ilm jo ham ko yahāñ samjhāne aa.e haiñ
ki ham dair-o-haram hote hue maiḳhāne aa.e haiñ
unheñ bhī dekh aa.eñ ik nazar mujh se farmā.eñ
unhīñ par chhoḌtā huuñ jo mujhe samjhāne aa.e haiñ
hameñ pūchho surūr un kā ki ye saaqī kī mast āñkheñ
hamāre zarf se naape hue paimāne aa.e haiñ
agar aa.e haiñ nāseh aa.eñ lekin ye to farmā deñ
samajhne aa.e haiñ ḳhud yā hameñ samjhāne aa.e haiñ
baḌhā chal shauq se ai ishq ke raahī ki is rah par
kahīñ bastī bhī aa.egī agar vīrāne aa.e haiñ
mai-e-gul-gūñ hai saaqī hai 'sahar' vaa.iz se kahtā hai
abhī farmā.eñ mujh se aap jo farmāne aa.e haiñ