Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

in ashkon ko pani kahna bhul nahin nadani hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
in ashkoñ ko paanī kahnā bhuul nahīñ nādānī hai
tan-man meñ jo aag lagā de ye to aisā paanī hai
hijr kī ghaḌiyāñ dekh chuke haiñ maut kā ham ko ḳhauf nahīñ
ye sūrat to dekhī-bhālī hai jānī-pahchānī hai
kaise tum se ishq huā thā kyā kyā ham par biit rahī hai
sun lo to sachchā afsāna varna ek kahānī hai
muflis bandoñ par mat hañsnā dhan-daulat ke pahredāro
ye duniyā hai is duniyā kī har shai ānī-jānī hai
shaiḳh-o-barahman zāhid-o-vā.iz būḌhe-khūsaT kyā jāneñ
bhuul bhī ho jaatī hai is meñ is kā naam javānī hai
Top Urdushayar.com