in shoḳh hasīnoñ kī nirālī hai adā bhī
but ho ke samajhte haiñ ki jaise haiñ ḳhudā bhī
ghabrā ke uThī hai mirī bālīñ se qazā bhī
jāñ-baḳhsh hai kitnī tire dāman kī havā bhī
yuuñ dekh rahe haiñ mirī jānib vo sar-e-bazm
jaise ki kisī baat pe ḳhush bhī haiñ ḳhafā bhī
māyūs-e-mohabbat hai to kar aur mohabbat
kahte haiñ jise ishq maraz bhī hai davā bhī
tujh par hī 'sahar' hai ki tū kis haal meñ kaaTe
jiinā to haqīqat meñ sazā bhī hai jazā bhī