jigar kā dard jigar meñ rahe to achchhā hai
jo baat ghar kī ho ghar meñ rahe to achchhā hai
ma.āl-e-kār se Darnā to buzdilī hai magar
ma.āl-e-kār nazar meñ rahe to achchhā hai
jo gir sake na kabhī aañkh se guhar ban kar
vo ashk dīda-e-tar meñ rahe to achchhā hai
ravāñ-davāñ hai idhar umr jānib-e-manzil
idhar ye jaam safar meñ rahe to achchhā hai
pare karo na abhī gesuoñ ko aariz se
ye shaam qurb-e-sahar meñ rahe to achchhā hai
ajiib shai hai haqīqat meñ soz-e-mahrūmī
fuġhāñ talāsh-e-asar meñ rahe to achchhā hai
jale jale na jale āshiyāñ magar ye 'sahar'
nigāh-e-barq-o-sharar meñ rahe to achchhā hai