Ejaz Gul

qafila utra sahra mein aur pesh wahi manzar aae

Ejaz Gul

qāfila utrā sahrā meñ aur pesh vahī manzar aa.e
raakh uḌī ḳhema-gāhoñ kī ḳhuun meñ luThḌe sar aa.e
galiyoñ meñ ghamsān kā ran hai ma.arka dast-ba-dast hai yaañ
jise bhī ḳhud par naaz bahut ho āñgan se bāhar aa.e
ik aaseb sā lahrātā hai bastī kī shah-rāhoñ par
shaam Dhale jo ghar se nikle lauT ke phir nahīñ ghar aa.e
dinoñ mahīnoñ āñkheñ roiiñ na.ī rutoñ kī ḳhvāhish meñ
rut badlī to sūkhe patte dahlīzoñ meñ dar aa.e
ek diyā raushan rakhnā dīvār pe chāñd sitāroñ sā
abr uThe bārish barse yā havāoñ kā lashkar aa.e
varna kis ne paar kiyā thā rasta bharī dopahroñ kā
kuchh ham se dīvāne the jo tai ye masāfat kar aa.e
Top Urdushayar.com