mere nāloñ meñ nihāñ soz bhī hai saaz bhī hai
merī āvāz meñ shāmil tirī āvāz bhī hai
muzhda ai ka.aba-o-but-ḳhāna mirā husn-e-nazar
but-tarāshī meñ bhī māhir hai ḳhudā-sāz bhī hai
apnī hālat pe mujhe ḳhud hī taras aatā hai
par-shikasta huuñ magar ḳhvāhish-e-parvāz bhī hai
merī qismat hī nahīñ merī tabāhī kā sabab
is meñ us shoḳh kī shāmil nigah-e-nāz bhī hai
ishq meñ maut se miltī hai hayāt-e-abadī
ishq kī maut to anjām bhī āġhāz bhī hai
sa.ī-e-iḳhfā-e-mohabbat to bajā hai lekin
sa.ī-e-iḳhfā hī mohabbat kī to ġhammāz bhī hai