Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

zara zara si aan mein wo jaan-e-jaan badal gaya

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
zarā zarā sī aan meñ vo jān-e-jāñ badal gayā
kabhī to baat kaaT dī kabhī zabāñ badal gayā
hameñ to ye gila nahīñ ki jān-e-jāñ badal gayā
gila ye hai ki vo ba-haqq-e-dīgarāñ badal gayā
bahār to bahār thī ḳhizāñ bhī ab bahār hai
nizām-e-gulsitāñ mizāj-e-bāġhbāñ badal gayā
bajā ki hai taġhayyur-e-chaman se zīnat-e-chaman
magar ye kyā ki gulsitāñ kā gulsitāñ badal gayā
fuġhān-o-zabt-e-āh meñ yahī hai farq aur kyā
ki aag to lagī rahī magar dhuāñ badal gayā
rah-e-hayāt se hazāroñ rāste nikal ga.e
kise ye ab ḳhayāl hai ki koī kahāñ badal gayā
tirī nigāh thī to ik jahān sāzgār thā
tirī nigāh phir ga.ī to ik jahāñ badal gayā
vahī fareb-e-dushmanāñ hai is kā ġham nahīñ hameñ
hameñ to ġham ye hai ḳhulūs-e-dostāñ badal gayā
junūñ ne sauñp dī ḳhirad ke haath rasm-e-rahbarī
lo ahl-e-kārvāñ amīr-e-kārvāñ badal gayā
vajūd se adam ko yuuñ chalā gayā hai ik ġharīb
kirā.e-dār jis tarah koī makāñ badal gayā
haram se jo ḳhulūs thā hai der se vahī ḳhulūs
jabīñ vahī hai kyā huā jo āstāñ badal gayā
Top Urdushayar.com