Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

ai KHusha-waqte ki shoKH-e-tarah-dar aa hi gaya

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
ai ḳhushā-vaqte ki shoḳh-e-tarah-dār aa hī gayā
haañ vo jān-e-mai-kada msatānā-vār aa hī gayā
dard kī shiddat hī āḳhir dard kā darmāñ banī
be-qarārī se mujhe āḳhir qarār aa hī gayā
yaad the un ke mujhe sab ahd-o-paimāñ toḌne
vāda-e-fardā pe lekin e'tibār aa hī gayā
maut laa.ī hai payām-e-iḳhtitām-e-ranj-o-ġham
aa gayā vo vaqt ba.ad-e-intizār aa hī gayā
is taraf josh-e-mohabbat us taraf josh-e-shabāb
aa gayā haañ un pe dil be-iḳhtiyār aa hī gayā
zauq-e-ḳhud-bīnī ne dikhlā.ī 'sahar' apnī bahār
husn ke ma.asūm chehre par nikhār aa hī gayā
Top Urdushayar.com