ḳhizāñ meñ bhī bahār-e-jāvedāñ mālūm hotī hai
javānī ho to phir har shai javāñ mālūm hotī hai
yahāñ mālūm hotī hai vahāñ mālūm hotī hai
ḳhalish dil kī kahāñ hai aur kahāñ mālūm hotī hai
jafā un kī vafā merī vafā merī jafā un kī
mohabbat dāstāñ-dar-dāstāñ mālūm hotī hai
asīrān-e-qafas haiñ ham se pūchho qadr-e-āzādī
ki ab bijlī bhī shāḳh-e-āshiyāñ mālūm hotī hai
ye maanā ishq meñ sabr o sukūñ se kuchh nahīñ hāsil
magar āh-o-fuġhāñ bhī rā.egāñ mālūm hotī hai
payām-e-ishq dete haiñ vo jab nazroñ hī nazroñ meñ
vo ik saa.at hayāt-e-jāvedāñ mālūm hotī hai
latāfat ishq kī hai māna-e-nazzāra-e-sūrat
mohabbat ḳhud hijāb-e-darmiyāñ mālūm hotī hai
baḌī mushkil se samjhe haiñ shahīd-e-ishq kā mansab
'sahar' ab zindagī bār-e-girāñ mālūm hotī hai