uThā surāhī ye shīsha vo jaam le saaqī
phir is ke ba.ad ḳhudā kā bhī naam le saaqī
phir is ke ba.ad hameñ tishnagī rahe na rahe
kuchh aur der muravvat se kaam le saaqī
tire huzūr meñ hosh-o-ḳhirad se kyā hāsil
kabhī to hosh-o-ḳhirad se bhī kaam le saaqī
phir is ke ba.ad jo hogā vo dekhā jā.egā
abhī to pīne-pilāne se kaam le saaqī
hameñ hai kaif-o-nashāt-o-surūr se matlab
nahīñ hai mai to nigāhoñ se kaam le saaqī
ye aur kuchh bhī hoñ kāfir nahīñ haiñ tere riñd
tū bād-e-jām ḳhudā kā bhī naam le saaqī
kaho ye ḳhizr se bhaTke na yuuñ zamāne meñ
yahāñ se āb-e-baqā-e-davām le saaqī
sahar kā kaam nahīñ mai-kade kī duniyā meñ
sahar kā naam na le lutf-e-shām le saaqī
kabhī thā zīnat-e-mahfil vo riñd-e-dariyā-nosh
ba-vaqt-e-daur 'sahar' kā bhī naam le saaqī