mujhe bhuul jaane vaale mire dil kī kuchh ḳhabar bhī
mirī aañkh par na jaanā ye to ḳhushk bhī hai tar bhī
ye qadam ruke ruke se ye jhukā jhukā sā sar bhī
yahīñ un kā naqsh-e-pā hai yahī un kī rahguzar bhī
falak-āshnā sahī ham magar ehtiyāt lāzim
ki qafas meñ le na jaa.e ye mazāq-e-bāl-o-par bhī
baḌe shauq se hue the yuuñ haram ko ham ravāna
ye ḳhabar na thī ki rah meñ hai tumhārā sañg-e-dar bhī
ho darāz umr yārab mire shaiḳh-o-barahman kī
kahīñ ḳhatm ho na jaa.e ye jahān-e-ḳhair-o-shar bhī
na badal rahī haiñ ghaḌiyāñ na sitāre Dūbte haiñ
kahīñ thak ke so ga.ī hai shab-e-hijr kī sahar bhī