Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

abhi wo kamsin ubhar raha hai abhi hai us par shabab aadha

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
abhī vo kamsin ubhar rahā hai abhī hai us par shabāb aadhā
abhī jigar meñ ḳhalish hai aadhī abhī hai mujh par itaab aadhā
hijāb o jalve kī kashmakash meñ uThāyā us ne naqāb aadhā
idhar huvaidā sahāb aadhā udhar ayaañ māhtāb aadhā
mire savāl-e-visāl par tum nazar jhukā kar khaḌe hue ho
tumhīñ batāo ye baat kyā hai savāl puurā javāb aadhā
lapak ke mujh ko gale lagāyā ḳhudā kī rahmat ne roz-e-mahshar
abhī sunāyā thā mohtasib ne mire gunah kā hisāb aadhā
bajā ki ab baal to siyah haiñ magar badan meñ sakat nahīñ hai
shabāb laayā ḳhizāb lekin ḳhizāb laayā shabāb aadhā
lagā ke laase pe le ke aayā huuñ shaiḳh sāhab ko mai-kade tak
agar ye do ghoñT aaj pī leñ milegā mujh ko savāb aadhā
kabhī sitam hai kabhī karam hai kabhī tavajjoh kabhī taġhāful
ye saaf zāhir hai mujh pe ab tak huā huuñ maiñ kāmyāb aadhā
kisī kī chashm-e-surūr aavar se ashk aariz pe Dhal rahā hai
agar shu.ūr-e-nazar hai dekho sharāb aadhī gulāb aadhā
purāne vaqtoñ ke log ḳhush haiñ magar taraqqī pasand ḳhāmosh
tirī ġhazal ne kiyā hai barpā 'sahar' abhī inqilāb aadhā
Top Urdushayar.com