ne.amat-e-tark-e-talab tark-e-tamannā māñge
dene vaale se jo māñge bhī to kyā māñge
zarf-e-dil soz-e-darūñ dīda-e-bīnā māñge
ye jo mil jaa.eñ to phir dāvat-e-jalva māñge
haram-o-dair-o-kalīsā meñ jhukegī kyūñ-kar
vo jabīñ jo ki tirā naqsh-e-kaf-e-pā māñge
ham to iqrār-e-gunah hashr meñ kar bhī leñge
shān-e-rahmat ye nahīñ hai ki ishāra māñge
dast-o-bāzū kī karāmat se milā kartī hai
chiiz kyuuñ koī kisī se bhī ḳhudārā māñge
hashr meñ yuuñ bhī mulāqāt to ho jā.egī
kyuuñ abas tujh se koī vāda-e-fardā māñge