Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

taqdir ke likhe se siwa ban gae hain hum

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
taqdīr ke likhe se sivā ban ga.e haiñ ham
banda na ban sake to ḳhudā ban ga.e haiñ ham
marnā bhī ab muhāl hai jiinā bhī ab muhāl
apne kiye kī aap sazā ban ga.e haiñ ham
majbūr-e-jabr-e-ishq haiñ muḳhtā-e-zabt-e-ġham
tum hī zarā batāo ki kyā ban ga.e haiñ ham
hai ab bhī iltifāt kā tālib dil-e-hazīñ
taslīm ki rāzī-ba-razā ban ga.e haiñ ham
ġhum-gashtagān-e-dasht-e-mohabbat huuñ mustafīd
rāh-e-talab meñ sham-e-vafā ban ga.e haiñ ham
ab to ḳhushī hai haath meñ ġham hai na marg o ziist
al-muḳhtasar ki terī razā ban ga.e haiñ ham
tark-e-talab ke faiz se dil ab hai mutma.in
apnī sazā kī aap jazā ban ga.e haiñ ham
Top Urdushayar.com