Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

zanjir ne ki jumbish wahshat ne li angDai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
zanjīr ne kī jumbish vahshat ne lī añgḌā.ī
shāyad ki bahār aa.ī shāyad ki bahār aa.ī
yak-rañgī-o-yaksūī yakjihatī-o-yakjā.ī
kahte haiñ junūñ jis ko hai asl meñ dānā.ī
itnā to batā ai dil ye kaun sī manzil hai
ab ḳhud hī tamāshā huuñ aur ḳhud hī tamāshā.ī
dīvāna huuñ maiñ be-shak dīvāna magar kis kā
pūchhe to koī un se ye kis kī hai rusvā.ī
mumkin jo nahīñ terā duniyā meñ hameñ milnā
mahshar hī meñ mil leñge tujh se tire shaidā.ī
ye sāqi-e-mehvish hai vo jām-e-mai-e-rañgīñ
hai aur kahāñ jannat jannat ke tamannā.ī
be-vaj.h se taskīñ hai kyuuñ aaj 'sahar' mujh ko
kaun aayā hai ghar mere vo haiñ ki qazā aa.ī
Top Urdushayar.com