Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

tum hamare nahin to kya gham hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
tum hamāre nahīñ to kyā ġham hai
ham tumhāre to haiñ ye kyā kam hai
baal bikhre haiñ aañkh pur-nam hai
mar gayā kaun kis kā mātam hai
husn kī shoḳhiyāñ zarā dekho
gaah sho.ala hai gaah shabnam hai
muskurā do zarā ḳhudā ke liye
sham-e-mahfil meñ raushnī kam hai
chhā rahī haiñ ghaTā.eñ sāvan kī
zulf-e-gardūñ bhī aaj barham hai
ban gayā hai ye zindagī ab to
tujh se baḌh kar hameñ tirā ġham hai
chaak dāman hai kis liye gul kā
kis liye ashk-rez shabnam hai
mahfil-e-raqs ho ki sher-o-sharāb
tum nahīñ ho to bazm-e-mātam hai
har masarrat alam kā hai partav
jo ḳhushī hai amānat-e-ġham hai
is meñ aañsū bhī haiñ tabassum bhī
zindagī ik tazād-e-paiham hai
shaiḳh sāhab jarāhat-e-dil kā
aap ke paas koī marham hai
is ko sajde kiye farishtoñ ne
aadmī hai ye ibn-e-ādam hai
Top Urdushayar.com