ashk-e-alam hai sozish-e-pinhāñ liye hue
qatra hai apne zarf meñ tūfāñ liye hue
paidā kareñge ishq se ham ḳhud ilāj-e-ishq
baiThe raheñ vo dard kā darmāñ liye hue
hai terī baḳhshishoñ kā yaqīñ be-gumāñ magar
ham haiñ malāl tañgī-e-dāmāñ liye hue
ishrat kī vādiyoñ se guzartā chalā gayā
paiham fareb-e-umr-e-gurezāñ liye hue
vo paikar hijāb yahāñ aa.e kis tarah
ham haiñ hujūm-e-hasrat-o-armāñ liye hue
ye kaun aa rahā hai sar-e-shām ai 'sahar'
chehre pe nūr-e-sub.h-e-bahārāñ liye hue