pesh-tar jumbish-e-lab baat se pahle kyā thā
zehn meñ sifr kī auqāt se pahle kyā thā
vaslat o hijrat-e-ushshāq meñ kyā thā avval
nafī thī ba.ad to isbāt se pahle kyā thā
koī gardish thī ki sākit the zamīn o ḳhurshīd
gumbad-e-vaqt meñ din raat se pahle kyā thā
maiñ agar pahlā tamāshā thā tamāshā-gah meñ
mashġhala us kā mirī zaat se pahle kyā thā
kuchh vasīla to rahā hogā shikam-serī kā
rizq-e-ḳhufta ki nabātāt se pahle kyā thā
maiñ agar ādam-e-sānī huuñ to virsa hai kahāñ
zarf-e-ajdād meñ amvāt se pahle kyā thā
har mulāqāt kā anjām judā.ī thā agar
phir ye hañgāma mulāqāt se pahle kyā thā
maiñ bhī maġhlūb thā hājāt kī kasrat se magar
lutf us ko bhī munājāt se pahle kyā thā