kuchh mudāvā na koī chārā hai
ishq ne har kisī ko maarā hai
ġham salāmat rahe ḳhudāvandā
zindagī kā yahī sahārā hai
maut aa jaa.e to malūl na ho
bahr-e-ġham kā yahī kinārā hai
bārhā aap ke tasavvur meñ
vaqt guzrā huā guzārā hai
dil diyā ham ne go qusūr is meñ
kuchh hamārā hai kuchh tumhārā hai
is uchaTtī nigāh ke qurbāñ
Dūbne ko mujhe ubhārā hai
qahr jab tak tirā qubūl na ho
lutf bhī terā nāgavārā hai
husn vaalo ḳhatā muaaf magar
ishq jiitā hai husn haarā hai
ai ajal sirf lamha bhar ruk jā
phir ġham-e-hijr ne pukārā
ye ghaTā ye havā ye abr-e-sahar
koī samjhe to ik ishārā hai