ḳhushī yaad aa.ī ki ġham yaad aa.e
magar tum hameñ dam-ba-dam yaad aa.e
jo tum yaad aa.e to ġham yaad aa.e
jo ġham yaad aa.e to ham yaad aa.e
chhiḌā zikr jab un ke jaur-o-sitam kā
mujhe un ke lākhoñ karam yaad aa.e
mohabbat meñ ik vaqt aisā bhī guzrā
na tum yaad aa.e na ham yaad aa.e
falak par jo dekhe mah-o-mehr-o-anjum
hameñ apne naqsh-e-qadam yaad aa.e
muqaddar ko jab bhī sañvārā hai ham ne
tirī zulf ke pech-o-ḳham yaad aa.e
ajab kashmakash hai ki jiinā na marnā
'sahar' us se kah do ki kam yaad aa.e