zindagī soz bane saaz na hone paa.e
dil to TuuTe magar āvāz na hone paa.e
dard agar shāmil-e-āvāz na hone paa.e
koī monis koī dam-sāz na hone paa.e
jaam se kuchh ko pilā kuchh ko nigāhoñ se magar
koī mai-kash nazar-andāz na hone paa.e
lutf jab hai ki rahe ishq sadā mahv-e-niyāz
aur is baat pe bhī naaz na hone paa.e
ḳhud ko karnā hai junūñ ke jo havāle to ye sun
aql hargiz ḳhalal-andāz na hone paa.e
jis meñ anjām kā ho ḳhauf sadā dāman-gīr
aise afsāne kā āġhāz na hone paa.e
ishq aur husn mileñ mil ke ḳhudā ban jaa.eñ
gar havas tafraqa-andāz na hone paa.e
āshiyāñ kunj-e-qafas se bhī girāñ-tar ho 'sahar'
gar muāvin par-e-parvāz na hone paa.e