Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

ghaTa hai bagh hai mai hai subu hai jam hai saqi

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
ghaTā hai baaġh hai mai hai subū hai jaam hai saaqī
ab is ke ba.ad jo kuchh hai vo terā kaam hai saaqī
umīd-e-vasl rakhnā ik ḳhayāl-e-ḳhām hai saaqī
burā to kuchh nahīñ lekin mazāq-e-ām hai saaqī
falak dushman muḳhālif gardish-e-ayyām hai saaqī
magar ham haiñ tirī mahfil hai daur-e-jām hai saaqī
jo apnī har nazar se ik ḳhudā taḳhlīq karte haiñ
unheñ dair o haram sī chiiz se kyā kaam hai saaqī
udāsī sard aaheñ karb hasrat dard majbūrī
mohabbat talḳhiyoñ kā ek shīrīñ naam hai saaqī
jinheñ shauq-e-talab hai aur jinheñ zauq-e-tajassus hai
unheñ koh-o-bayābāñ manzil-e-yak-gām hai saaqī
Top Urdushayar.com