basoñ par tabassum to āñkhoñ meñ paanī
yahī hai yahī dil-jaloñ kī nishānī
tirī be-ruḳhī aur tirī mehrbānī
yahī maut hai aur yahī zindagānī
vahī ik fasāna vahī ik kahānī
javānī javānī javānī javānī
na ab vo masarrat na vo shādmānī
dareġhā javānī dareġhā javānī
mohabbat hī hai asl meñ jāvedānī
buḌhāpā bhī faanī javānī bhī faanī
atā kar mujhe vo maqām-e-mohabbat
kare husn ḳhud ishq kī pāsbānī
batā.ūñ hai kyā āñsuoñ kī haqīqat
jo samjho to sab kuchh na samjho to paanī
zamīñ se ta.alluq na rishta falak se
musībat hai goyā buland āshyiānī
'sahar' is jahān-e-bahār-e-ḳhizāñ meñ
ḳhushī dā.imī hai na ġham jāvedānī