ulfat kā anjām burā hai
daana achchhā daam burā hai
shaiḳh achchhe haiñ aur bure ham
bad achchhā badnām burā hai
shaiḳh ke muñh meñ pand-o-nasīhat
mai achchhī hai jaam burā hai
is duniyā meñ aksar dekhā
jurm achchhā ilzām burā hai
hirs kī bāteñ karne vaalo
is shai kā anjām burā hai
ahd-e-vafā par marne vaalo
mat karnā ye kaam burā hai
vasl kā va.ada kar ke bole
ab kahiye paiġhām burā hai