Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

phul bhare hain daman daman

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
phuul bhare haiñ dāman dāman
lekin vīrāñ vīrāñ gulshan
ishq kī mastī dil kī dhaḌkan
ek javānī do do joban
dekhe haiñ sab shaiḳh-o-barahman
naam baḌe aur chhoTe darshan
kaun kisī ke dukh kā sāthī
apne aañsū apnā dāman
zabt ne jab bhī hoñT siye haiñ
tez huī hai dil kī dhaḌkan
gorā mukhḌā kaalī zulfeñ
sub.h ke dar par shaam kī chilman
gulshan ke matvāle haiñ ham
phuul bhī gulshan ḳhaar bhī gulshan
aql kī bāteñ karne vaale
kyā samjheñge dil kī dhaḌkan
husn aur ishq meñ farq yahī hai
ek hai shīsha ek hai aahan
tan ke ujle man ke maile
ye haiñ vaa.iz jī ke lachchhan
aql ne aksar dil ko kosā
naach na jaane TeḌhā āñgan
tan-man tum par vaar diye haiñ
us kā sab kuchh jis kā tan-man
terā dāman chhoḌūñ kaise
merī duniyā terā dāman
ruuTh ke jaane vaale āḳhir
apnoñ se kyuuñ itnī an-ban
terī yaad kā nuur thā varna
hijr kī zulmat aur ho raushan
aaj 'sahar' aanā hai kis ko
raushan hai kyuuñ merā āñgan
Top Urdushayar.com