Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

bashar ki zad mein junun bhi hai aagahi bhi hai

Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar

Sahiwal, Punjab, Pakistan

1909-1992
bashar kī zad meñ junūñ bhī hai āgahī bhī hai
ye musht-e-ḳhāk farishta bhī aadmī bhī hai
hazār haif vahī dushmanī pe haiñ maa.il
vo log jin pe hameñ haqq-e-dostī bhī hai
dayār-e-ishq meñ aise gadā bhī dekhe haiñ
ki jin ke zer-e-kaf-e-pā shahanshahī bhī hai
fasāna jis ko samajh kar bigaḌ rahe ho tum
jo sun sako to vo ahvāl vāqa.ī bhī hai
havas sharīk ho is meñ to maut hai varna
jo sidq ho to mohabbat meñ zindagī bhī hai
har ek tār-e-rag-e-jāñ meñ naġhmagī bhar dī
sitam ki us pe ye talqīn-e-ḳhāmushī bhī hai
vafā kā zikr to karte haiñ raat din sab log
vafā zamāne meñ lekin kahīñ rahī bhī hai
payām-e-vasl diyā hai hameñ adū ke haath
karam ke saath adā-e-sitamgarī bhī hai
ye dil jo vāqif-e-asrār-e-do-jahāñ niklā
ḳhushā-nasīb ki ye ḳhud se ajnabī bhī hai
surūr ishq kā hai zarf-e-dil pe dār-o-madār
ye dā.imī sā nasha bhī hai aarzī bhī hai
tū pī ke lutf uThātā hai yā bahaktā hai
uThā ki shīshe meñ ik dev bhī parī bhī hai
hujūm-e-ġham ke añdhere bhī dil meñ haiñ lekin
kisī kī yaad kī ujlī sī raushnī bhī hai
rahīn-e-vus.at-e-dāmāñ hai ishq kī ḳhairāt
saḳhī ke ghar meñ kisī baat kī kamī bhī hai
Top Urdushayar.com