is daur kā har aadmī ayyār ho gayā
apnā zamīr bech ke sardār ho gayā
ḳhidmat kī fikr hai na kisī kā zarā ḳhayāl
ḳhādim hamārī qaum kā ġhaddār ho gayā
samjho ki ḳhauf us ko bhī chiñgāriyoñ kā hai
bārūd kā jo mulk ḳharīdār ho gayā
din raat luT rahī haiñ ġharīboñ kī bastiyāñ
sargarm jab se luuT kā bāzār ho gayā
sar chaḌh ke boltā hai har ik aadmī ke vo
qabze meñ jis ke aaj kā aḳhbār ho gayā
itnī sī baat par maiñ aziyyat-nasīb huuñ
sachchā.ī kā zabān se iz.hār ho gayā
rahbar lage haiñ karne yahāñ rahbarī kā kaam
raahe har ek rāsta dushvār ho gayā