itnā karam itnī atā phir ho na ho
tum se sanam va.ada vafā phir ho na ho
ye hī haiñ din, bāġhī agar banñā hai ban
tujh par sitam kis ko patā phir ho na ho
shāyad ye manzar us ke aane tak hī ho
āñkhoñ meñ dam aTkā huā phir ho na ho
manzil tak apnā saath hai, gaate chaleñ
tū ham-qadam tū ham-navā phir ho na ho
aage thakan kar de na kam shauq-e-safar
naqsh-e-qadam par jaañ fidā phir ho na ho