ro ro ke bayāñ karte phiro rañj-o-alam ḳhuub
hāsil nahīñ kuchh bhī jo na ho rañg-e-qalam ḳhuub
bāzār meñ ik chiiz nahiñ kaam kī mere
ye shahr mirī jeb kā rakhtā hai bharam ḳhuub
manzil to kisī ḳhaas ko hī miltī hai, varna
dekhe to sabhī ne haiñ mire naqsh-e-qadam ḳhuub
ye Thiik hai rishte meñ bañdhā rahtā hai ab dil
is kaabe meñ hotā thā kabhī jashn-e-sanam ḳhuub