Ajmal Siddiqi

khul ke barasna aur baras kar phir khul jaana dekha hai

Ajmal Siddiqi

Delhi, India

1981
khul ke barasnā aur baras kar phir khul jaanā dekhā hai
ham se pūchho!! un āñkhoñ kā ek zamāna dekhā hai
tum ne kaise maan liyā vo thak kar baiTh gayā hogā
tum ne to ḳhud apnī āñkhoñ se vo dīvānā dekhā hai
manzil tak pahuñcheñ ki na pahuñcheñ raah magar apnī hogī
tū rahne de vaa.iz terā raah batānā dekhā hai
dhuul kā ik zarra na uḌe āvāz kare parchhā.īñ bhī
maut bhī aa kar martī nahīñ thī vo vīrāna dekhā hai
gulshan se ham siikh na paa.e vaqtī ḳhushiyoñ ko jiinā
jabki ham ne fasl-e-gul kā aanā jaanā dekhā hai
dil to saada hai terī har baat ko sachchā māntā hai
aql ne bāteñ karte terā aañkh churānā dekhā hai
lafz davā hai lekin is ke saath hī kuchh parhez bhī hai
lafz ke baa.is pal meñ khonā pal meñ paanā dekhā hai
Top Urdushayar.com