Ajmal Siddiqi

dukhe dilon pe jo paD jae wo tabib nazar

Ajmal Siddiqi

Delhi, India

1981
dukhe diloñ pe jo paḌ jaa.e vo tabīb nazar
to bāġh-e-dil meñ bhī aa jaa.eñ andalīb nazar
har ek sub.h vazū kartī haiñ mirī āñkheñ
ki shāyad aaj to aa jaa.e vo habīb nazar
isī tarah se rah-e-yār ko take jaanā
had-e-nazar ko girā degī an-qarīb nazar
tū intizār se chhuT kar hai ḳhush magar mujh ko
ghaḌī judā.ī kī aane lagī qarīb nazar
bujhā do sham-e-mohabbat jalā do gulshan-e-ishq
Darā sakegī na āshiq ko ye muhīb nazar
jamāl-o-husn ke qaa.el haiñ us ke sab 'ajmal'
bas ek tum hī yahāñ rakhte ho ajiib nazar
Top Urdushayar.com