na nazar se koī guzar sakā na hī dil se malba haTā sakā
na vo dar bachā na vo ghar bachā tere ba.ad koī na aa sakā
na vo his kisī meñ na taab hai mirā ġham to ḳhair uThā.e kaun
vo jo misra ġham kā thā tarjumāñ koī us ko bhī na uThā sakā
kabhī ḳhauf thā tire hijr kā kabhī aarzū ke zavāl kā
rahā hijr-o-vasl ke darmiyāñ tujhe kho sakā na maiñ pā sakā
mire dil meñ tuḳhm-e-yaqīn rakh de lachak tū shāḳh-e-mizāj ko
vo chaman khilā mire bāġhbāñ jo chaman koī na khilā sakā
mire saath sū-e-junūn chal mire zaḳhm khā mirā raqs kar
mire sher paḌh ke milegā kyā patā paḌh ke ghar koī pā sakā?
jo likho ibārat-e-ishq tum to anā kā koī na pech ho
jo lab-e-davāt pe jhuk gayā vo qalam hī naqsh banā sakā