dīvāngī ne ḳhuub karishme dikhā.e haiñ
aksar tire baġhair bhī ham muskurā.e haiñ
ab ai ġham-e-zamāna tirā kyā ḳhayāl hai
ham apne saath le ke ġham-e-ishq aa.e haiñ
mai-ḳhāne kī taraf jo baḌhe haiñ to hoshiyār
ka.aba kā ruḳh kiyā hai to ham Dagmagā.e haiñ
ik sub.h-e-zar-nigār kī ḳhātir tamām raat
ham ne ka.ī charāg jalā.e bujhā.e haiñ
ham par bhī rahguzār-e-mohabbat ko naaz hai
ham ne bhī kuchh nuqūsh miTā kar banā.e haiñ
yuuñ bhī milī hai mujh ko mire zabt-e-ġham kī daad
aksar vo sar jhukā.e hue muskurā.e haiñ
hairat se dekhtā hai zamāna hameñ 'ayāz'
us tak pahuñch pahuñch ke jo ham lauT aa.e haiñ