gul-e-ḳhush-numā ke libās meñ ki shuā-e-nūr meñ Dhal ke aa
tujhe DhūñDh legī mirī nazar tū hazār rañg badal ke aa
tire dil kī aag haqīqatan tire haq meñ fasl-e-bahār hai
jo bujhā.e se bhī na bujh sake usī dil kī aag meñ jal ke aa
tirī justujū bhī hijāb hai tirī aarzū bhī hijāb hai
kabhī dām-e-aql-o-shu.ūr se jo nikal sake to nikal ke aa
ye hai ahl-e-zarf kī anjuman ye hai ahl-e-ishq kā mai-kada
tū hazār nashshe meñ chuur ho jo yahāñ pe aa to sambhal ke aa
mah-o-mehr meñ bhī hai dilkashī magar us kī baat hai aur hī
tujhe ārzū-e-jamāl hai to harīm-e-nāz meñ chal ke aa
ye junūn-e-ishq kī shaan hai tujhe log kuchh bhī kahā kareñ
jo atā-e-kū-e-habīb hai vahī ḳhaak chehra pe mal ke aa
asar-āfrīn-e-bahār hai tirī fikr 'shā.ir'-e-ḳhush-navā
jinheñ chhū sake na ḳhizāñ kabhī vahī phuul le ke ġhazal ke aa