Shaer Fatahpuri

na-fahm kahun main use aisa bhi nahin hai

Shaer Fatahpuri

Fatehpur, Uttar pradesh, India

nā-fahm kahūñ maiñ use aisā bhī nahīñ hai
kyā shai hai mohabbat vo samajhtā bhī nahīñ hai
maanā ki bahut rābta-e-ishq hai nāzuk
ham toḌ sakeñ jis ko vo rishtā bhī nahīñ hai
har shai se judā hai dil-e-barbād kī fitrat
jab tak na ho barbād sañvartā bhī nahīñ hai
ummīd hai vābasta mirī abr-e-karam se
aur abr-e-karam hai ki barastā bhī nahīñ hai
āsāñ nahīñ is rāh-e-mohabbat se guzarnā
jis raah meñ halkā sā ujālā bhī nahīñ hai
har vaqt gulistāñ pe ḳhizāñ kī haiñ nigāheñ
khulte hue phūloñ kā bharosā bhī nahīñ hai
hamdardī ahbāb kā kyā zikr hai 'shā.ir'
is samt koī dekhne vaalā bhī nahīñ hai
Top Urdushayar.com