ġham hai kāñToñ kā na andesha bayābānoñ kā
ishq hai rāh-numā aaj bhī dīvānoñ kā
ruuh tārīk nazar kor mohabbat se gurez
kyā farishtoñ meñ hai shohrā inheñ insānoñ kā
lafz jazbāt kī tasvīr nahīñ ban sakte
shukr kaise ho adā husn ke ehsānoñ kā
dil-e-barbād se karte haiñ jise ham ta.abīr
isī vīrāne meñ ik shahr thā armānoñ kā
tujh ko is daur meñ hai nūr-e-haqīqat kī talāsh
kaun samjhā.e ki ye daur hai afsānoñ kā
mujh ko pahlū meñ vo dil chāhiye jis meñ 'shā.ir'
raushnī sham.a kī ho soz ho parvānoñ kā