sar-e-taslīm ḳham karnā paḌā taqsīr se pahle
mohabbat kī sazā mujh ko milī ta.azīr se pahle
burā hogā hamārī raah meñ aayā agar koī
ki ham shamshīr ban jā.eñge ḳhud shamshīr se pahle
mohabbat kī nazar ik ik nafas par kaam kartī hai
tujhe ham dekh lete haiñ tirī tasvīr se pahle
mohabbat kā zamāna bhī ajab dilkash zamāna thā
asīrī merī sābit ho ga.ī zanjīr se pahle
hamāre nāma-e-pur-shauq likhne par ye pābandī
qalam kī jā.eñgī kyā uñgliyāñ tahrīr se pahle
mohabbat kī amānat yūñhī insāñ ne nahīñ paa.ī
kiyā hai ġhaur ḳhud qudrat ne bhī taqdīr se pahle
koī aise meñ bedārī kā de paiġhām ai 'shā.ir'
zamāna hosh meñ aatā nahīñ taqrīr se pahle