fasāna-e-sitam-e-kā.enāt kahte haiñ
ye ashk-e-ġham to mire dil kī baat kahte haiñ
vahī nigāh ki jis se jahāñ laraztā hai
ham us nigāh ko rāz-e-hayāt kahte haiñ
tulū-e-mehr-e-mubīñ tak nazar nahīñ jaatī
jo be-ḳhabar haiñ vo din ko bhī raat kahte haiñ
gul-o-bahār kā anjām hai jinheñ ma.alūm
chaman ko dām-gah-e-hādsāt kahte haiñ
ham ahl-e-ishq haiñ 'shā.ir' hameñ ye hosh kahāñ
kise itaab kise iltifāt kahte haiñ