Shaer Fatahpuri

dam-e-tamir taKHrib-e-jahan kuchh aur kahti hai

Shaer Fatahpuri

Fatehpur, Uttar pradesh, India

dam-e-ta.amīr taḳhrīb-e-jahāñ kuchh aur kahtī hai
kalī kuchh aur kahtī hai ḳhizāñ kuchh aur kahtī hai
kada kī yaad sab kuchh hai magar ai zāhid-e-nādāñ
diloñ se mastī-e-chashm-e-butāñ kuchh aur kahtī hai
kabhī shāyad vo daur aa.e jab insāñ ho sake insāñ
abhī to gardish-e-haft-āsmāñ kuchh aur kahtī hai
banā kar āshiyāne fasl-e-gul meñ shaad haiñ lekin
chaman vāloñ se barq-e-be-amāñ kuchh aur kahtī hai
bahut mushkil hai manzil tak jo ahl-e-kārvāñ pahuñcheñ
ki ham se gard-e-rāh-e-kārvāñ kuchh aur kahtī hai
ye ġhaflat ai hayāt-e-chand-roza ke parastāro
uTho tum se hayāt-e-jāvedāñ kuchh aur kahtī hai
asar naġhmoñ meñ bhī hai nāla-hā-e-ġham meñ bhī 'shā.ir'
magar TuuTe hue dil kī fuġhāñ kuchh aur kahtī hai
Top Urdushayar.com