vo bevafā hī sahī us ko bevafā na kaho
adab kī had meñ raho husn ko burā na kaho
sharāb-e-ishq kī azmat se jo kare inkār
vo pārsā bhī agar ho to pārsā na kaho
paḌā hai kaam usī ḳhud-parast kāfir se
jise ye zid hai kisī aur ko ḳhudā na kaho
mirā ḳhulūs-e-mohabbat hai qadr ke qābil
zabāñ pe zikr-e-vafā hai use gilā na kaho
ye kyā kahā ki duā hai asar se begāna
taḌap na dil kī ho jis meñ use duā na kaho
ye aur kuchh nahīñ fitrat kī bad-mazāqī hai
baġhair baada ghaTā ko kabhī ghaTā na kaho
taḌap taḌap ke guzāro shab-e-firāq apnī
ye nāz-e-husn hai 'shā.ir' ise jafā na kaho