jo kaif-e-ishq se ḳhālī ho zindagī kiyā hai
shaguftagī na mile jis meñ vo kalī kyā hai
mirī nigāh meñ hai un kā āriz-e-raushan
ye kahkashāñ ye sitāre ye chāñdnī kyā hai
jamāl-e-yār kī ra.anā.iyoñ meñ gum hai nazar
mujhe ye hosh kahāñ hai ki zindagī kyā hai
uThā bhī jaam ki duniyā tire qadam chūme
ye mai-kada hai yahāñ aish kī kamī kyā hai
tumhārī yaad meñ baiThe haiñ dil ko bahlāne
sanam-tarāshī-o-zauq-e-musavvirī kyā hai
nafas nafas pe ye ehsās-e-ġham ye majbūrī
ḳhudā-gavāh qayāmat hai zindagī kyā hai
nigāh-e-shauq ke uThne kī der hai 'shā.ir'
vo be-qarār na aa.e to baat hī kyā hai